Kanz e Aza

Kahan Kahan Mai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ameer Hussain Mashadi. Lyrics in Roman Urdu.

haye hussain mere laal


kahan kahan mai tujhe royun mere laal bata

har ek maqam se aati hai ek maa ki sada


tumhare qatl pe roya hai aasman bhi lahoo

zibhe azeem shaheede al kafa bekhata

har ek maqam se aati hai ek maa ki sada

kahan kahan mai tujhe...


ajeeb paaye hai aulaad e murtaza ne naseeb

baghair kafan hai bhai to behan hai berida

har ek maqam se aati hai ek maa ki sada

kahan kahan mai tujhe...


rayees e aazam o sardar hoke jannat ka

kyun apne aap ko phir tu ghareeb kehta raha

har ek maqam se aati hai ek maa ki sada

kahan kahan mai tujhe...


nahi hai chain mujhe qabr mein bhi beta hussain

tumhari yaad mein rehti hoon roti subho masa

har ek maqam se aati hai ek maa ki sada

kahan kahan mai tujhe...


mere hussain ko royega jo bhi shaks ameer

mai doongi ajr bhi uske liye karungi dua

har ek maqam se aati hai ek maa ki sada

kahan kahan mai tujhe...