milti hi nahi koi misaal aisi dahar may
be gor-o-kafan bhai hamsheer safar may
milti hi nahi koi…
haq fatema zahra ka ghasab jisne kiya hai
wo dost bhala kya hai payambar ki nazar may
milti he nahi koi…
cheh maah ke bache ko bhi naize pe chadaya
kya choda hai ummat ne mere bhai ke ghar may
milti hi nahi koi…
khamosh chali jaaun bhala shaam may kaise
shabbir ka laasha hai meri raah guzar may
milti hi nahi koi…
abid ne kaha khoon yuhin rota rahunga
phuphi ki aseeri ne kiye zakhm jigar may
milti hi nahi koi…
tarsi thi khawateen mulaqaat ko jis may
zainab sar e uryan hai usi koofa shehar may
milti hi nahi koi…
behte hai ghame shaah may jo aansu wo kahan hai
mehshar may milenge wo tumhe laal o gohar may
milti hi nahi koi…
kyun kar na ameer aaj kahe gham ka ye nauha
har zulm ka manzar hai meri deeda o tar may
milti hi nahi koi…