Kanz e Aza

Mithy Kyu Ja Rahay Hai Qadmon

A noha for Ali Akbar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Mithy Kyu Ja Rahay Ha Qadmon Ky Nishaan Akbar


Shaayad Meri Qaza Ka Ha Yeh Samaan Akbar


Dam Tootny Sy Pehly Ik Baar Hee Sahee Me

Tujhy Saamny Betha Kar Sunloo Azaan Akbar


Jab mujhko lenay ao Asghar ko saath lana

Kaisy Jhulao Uska Jhoola Veeran Akbar


Meri Wajah e Ibadat Tere Qadam Nishan Ha

Meri Namaz Akbar Mera Quran Akbar


Meri behan sakina ka khaas har ghdi tum

Rakhna khayal Us me ha meri jan akbar


Sab Ja baasay ha teri, jageer karbala me

Mera ha ik sahara, khaali maqaan akbar


Ik Tere Baad Akbar, Kuch Na Dikhayi Deta

Mere liye Toh Tu, Ha Sara Jahan Akbar


Dekha Ha Meh Nay Nana Manzar Ajeeb Karbal

Baba Kay Bazoono Me, Zakhmi Jawan Akbar


Meri behan Sakina, ka khaas har ghari tum

Rakhna khayal us me, ha meri jan Akbar


Adil Kee Ha Duayen, Teri Karbala Woh Jayen

Tere Matami Ha Jitnay, Teray Nohakhawn Akbar