Khudaya kaise Sarwar ne Uthaya
ZaeefimeJawa'n Bete ka Laasha
Rakha khaime meLakar jab janaza
WoLaasha sar se pa tak khoo'n bhara tha
Na jaane kis tarahLaila ne Dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja
MadinemeWo aksar sonchti thi
Bahu hogi Hamari chaand jaisi
Bada armaan tha shaadi ka jiski
Wohi ab saamne bejaa'n pada tha
Na jaane kis tarahLaila ne Dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja
Basarat ja chuki Sibte Nabi ki
Hui hai khatm ronagq zindagi ki
Luti duniya Hussain Ibne Ali ki
Simat aaya hai aankhon me andhera
Na jaane kis tarahLaila ne Dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja
Bada zaalim hua tha ye zamana
Kayi hathyaar the aur ek nashana
Jawaani me wo phal barchhi ka khaana
Shabeeh e Mustufa par zulm aisa
Na jaane kis tarahLaila ne Dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja
Wo Jiska Husn tha Husne Payambar
Tha Uspar ye sitam Allah O Akbar
Watan me muntazir thi jis ki Knwahar
Wohi ab khoon meDooba Pada tha
Na jaane kis tarahLaila ne Dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja
Kamaale sabr ka ye Mojiza tha
Ke khud ko kaise Zainab ne Sambhala
Jise atthaara barso'n tak tha Paala
Usi ke Qalb me toota tha naiza
Na jaane kis tarahLaila ne dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja
Koi poochhe Ali Akbar ki Maa se
Guzarti kya hai marge Naojawa'n se
Sada aati hai Ahsanaasma'n se
Rahegi umr bhar sakte meDukhiya
Na jaane kis tarahLaila ne dekha
Jawaa'n Beta hai aur zakhmi kaleja