noha zainab ka tha ay gaysuwo wale akbar
kis tarha gham tera madar ye uthale akbar
noha zainab ka tha…
kya khabar thi tujhe zaalim ki nazar khayegi
tere seene mein ani barchi ki dhar aayegi
chand si shakl teri khaak mein mil jaayegi
maut bhi aayegi baali se to sharmeinegi
door nazron se hue ghar ke ujaale akbar
noha zainab ka tha…
aaye thay saath madine se phuphi ke beta
ghar ke is dasht mein ab saath tumhara choota
baap majboor hai ke aankh ka taara toota
haye pardes mein aada ne bhara ghar loota
maa khadi roti hai seene se lagale akbar
noha zainab ka tha…
apne taqdeer ka teri ye tamasha dekha
baap ke haaton pe binjaaye ka laasha dekha
phool qismat mein na thay khoon ka sehra dekha
maa ki aankhon se wo behta hua darya dekha
teri ghamqaar ko ab kaun sambhale akbar
noha zainab ka tha…
koi abbas ko darya se bulaale jaa kar
ho khabar kaise unhe mar gaye ran mein akbar
kyun nahi lete khabar mamu ki aun o jafar
baap se ut'thegi kis tarha laashe pisar
kaun baakhi hai jo ab sheh ko sambhale akbar
noha zainab ka tha…
qaime jalte hai nahi koi sahara beta
dhal chuki shaam hua shab ka andhera beta
daad ras koi nahi gham mein hamara beta
teri furqat mein nahi jeena gawara beta
sar se chinti hai rida aake bachale akbar
noha zainab ka tha…
haatif e ghaibi ki nagaar sada ye aayi
waqt tha asr ka jab sheh ne shahadat payi
kaisi anjum ye qayamat ki ghadi thi aayi
laash pe rone ko beta tha na koi bhai
kaun bachon ko bhala aake sambhale akbar
noha zainab ka tha…