ba haale zaar shahe mashraqain aate hai
sar apna peet'te ba shore shain aate hai
pisar ki laash uthane hussain aate hai
zameen kaampti hai aasman larazta hai
zaban-e-khushk pe bas ya ali ka naara hai
pisar ki laash uthane...
bahare gulshane jannat se khoon tapakta hai
ye gham ka josh hai kausar bhi sar patakta hai
pisar ki laash uthane...
rawan hai aankhon se aansu kaleja jalta hai
wo tashnagi hai jigar se dhuan nikalta hai
pisar ki laash uthane...
jigar ka zakhm chupega na khoon ki dhaaron se
na chup sakega tane paash paash pyaron se
pisar ki laash uthane...
zameen may toota hua phool hai jawani ka
lahoo may dooba hua phool hai jawani ka
pisar ki laash uthane...
koi nikaal le barchi ke phal ko seene se
nida rasool ki aati hai ye madine se
pisar ki laash uthane...
ye gham sambhale sambhalta nahi ali fitrat
pukarta hai ye maqtal koi kare nusrat
pisar ki laash uthane...