mehshar ka hai manzar
haye haye haye haye
qayaam e shaah mein mehshar bapa hai
koi maqtal ki jaanib jaa raha hai
jise paala muraadon mannaton se
usi ko izn marne ka diya hai
qayaam e shaah mein...
kaha sheh ne ye laila se na roko
ali akbar shabaabe karbala hai
qayaam e shaah mein...
kahan dhoondun nazar mein kuch nahi hai
jidhar dekhun andhera chaa gaya hai
qayaam e shaah mein...
usi ka khoon bahaate hai musalman
jo humshakle mohamed mustafa hai
qayaam e shaah mein...
zameen e karbala batlaade mujhko
mera lahkte jigar kis jaa gira hai
qayaam e shaah mein...
ye bole sheh ali akbar sada do
pidar har gaam thokar khaa raha hai
qayaam e shaah mein...
jawan bete ke laashe ko uthaana
hussain ibne ali ka maujiza hai
qayaam e shaah mein...
fareed is gham ki azmat kya bayan ho
ye wo gham hai ke zainab berida hai
qayaam e shaah mein...