racha tha akbare mehroo pe kya shabab ka rang
kahan hai gulshan e hasti mein is gulab ka rang
racha tha akbare mehroo...
dilon se chut na sakega abu turab ka rang
ye inka rang hai zehno ke inquilaab ka rang
racha tha akbare mehroo...
nabi ke baad badalta raha naqaab ka rang
siyaah bakht thay badla na sheikh o shaab ka rang
racha tha akbare mehroo...
na dhoond uzair mein shaan o shuja'ate hyder
kahan tajalliye kausar kahan sharaab ka rang
racha tha akbare mehroo...
ali ne maslehatan kar liya tha jispa sukoot
phir uske baad na badla kabhi kitaab ka rang
racha tha akbare mehroo...
bhatak raha tha zamana rahe zalalat mein
kahin tha khwaab ka aalam kahin saraab ka rang
racha tha akbare mehroo...
juraat ye kehti hai abbas aur qasim ki
hai mauj mauj mein darya ki izteraab ka rang
racha tha akbare mehroo...
habeeb o jaun ke zakhmon se jitna khoon baha
falak pa utna hi chaaya raha shabaab ka rang
racha tha akbare mehroo...
chali jab asghare baysheer par jo wo teer
badalke reh gaya lekin rukhe rabab ka rang
racha tha akbare mehroo...
rida baghair ye haalat bar sare zainab
barahna chehre ko dhaampe raha hijab ka rang
racha tha akbare mehroo...
ye kaun bol raha hai ali hai ya zainab
wohi zaban wohi lehja wohi khitaab ka rang
racha tha akbare mehroo...
shaqi ne bad ke sahara liya mauzzin ka
jo dekha hazrat e sajjad ke jawaab ka rang
racha tha akbare mehroo...