Kanz e Aza

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Bawafa Murtajis….6


Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2

Mera Bhai Kahan Utara….2….. Ro Kar Yeh Pooch Ti Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2


Dekhi Jo Zeen Khali Aur Murtajis Ko Zakhmi…..2

Balon Se Muh Chupaie…..2….. Har Bibi Peet Ti Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2


Makhtal Ka Haal Usko Rahwar Kya Bataie…..2

Bacchi Jo Rah Apne …..2…… Baba Ka Dekhti Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2


Dastar Aur Aba Ki Humsheer Ke Hawale

Jo Pusht Par Imamat….2….. Maula HUSAIN (AS) Ki Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2


Batla Rahi Thi Subko Rudad Qatl Gah Ki…..2

Aankhon Ke Murtajis Ki…..2…… Ashkon Ki Jo Jhadi Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2


Aaisi Wafa Dikhaie Rahwar Ne Maidan Mein ……2

Hay Padar Woh Kaisi…..2…… Ek Zulm Ki Ghadi Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2


Halqe Mein Bibion Ke, Jawwad Murtajis Tha

Khaima E Hashmi Mein…..2….. Matam Ki Saf Bichi Thi

Rahwar Ro Raha Tha Bibi Bhi Ro Rahi Thi…..2