jaanib e darya chala abbas tishna labon ki aas
abbas gire paon pe gardan ko jhuka kar
rone lage sheh bhai ko chaati se laga kar
bano ne kaha ghash se sakina ko jaga kar
sadqe gayi dekh aao chacha jaan ko jaa kar
is tarha jo shaahe shohda rote hai bibi
sarwar se alamdar juda hote hai bibi
sheh ke alamdar ki ran ko sawari chali
saahib e talwaar ki ran ko sawari chali
kehte thay shaah e zaman reh gaya mai bewatan
bhai wafadaar ki ran ko sawari chali
sheh ke alamdar ki...
seene ko sheh koot ke kehte sakina se thay
le tere ghamkhwar ki ran ko sawari chali
sheh ke alamdar ki...
kham na ho kyun kar kamar kis tarha ay daad gar
mere madad gaar ki ran ko sawari chali
sheh ke alamdar ki...
beti se sheh ne kaha layenge pani chacha
ghazi o jarraar ki ran ko sawari chali
sheh ke alamdar ki...
sayyade aali baham kehti thay ba chashme nam
faatah e ghaffaar ki ran ko sawari chali
sheh ke alamdar ki...