ran me bewa hasan ki pukari mere qasim ki aati hai mehandi
aaj ke din ke jaau mai waari mere qasim ki aati hai mehandi
ye suna kar wo aale aba ko lagi tasleem karne quda ko
phir kaha yu'n har ek aqroba ko mere qasim ki aati hai mehandi
sote kyu ho baraati jagao shadiyane shehnayi bajao
parde qaime ke jaldi uthao mere qasim ki aati hai mehandi
ek mandhak sehan me tana do choukhi le aake niche bichado
ghar me sandal chaape lagado mere qasim ki aati hai mehandi
uski ghurbat pe ab sadqe jaao mere pyare ka kangna bandhao
aaj mehmaan sab mere aao mere qasim ki aati hai mehandi
pyas dulha ki pehle bujhao bibiyo thoda sharbat pilao
tum abhi ye na sabko sunao mere qasim ki aati hai mehandi