Kanz e Aza

Sehra May Paara

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Mir Fida Ali. Lyrics in Roman Urdu.

sehra mein paara paara naushaah e karbala hai


maula hassan ka sam se tukde jigar hua tha

ibne hassan ka ran mein tukde badan hua hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


qaime mein laash aayi ibne hassan ki jis dam

kya guzri ek dulhan par allah jaanta hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


masnad pe laash rakh kar bole shahe zaman ye

zainab dulhan ko lao dulha bhi aagaya hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


dard o alam ka toofan kubra ki zindagi mein

shadi ke baad haye kuch pal mein aagaya hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


khamosh hai zuban par aankhein bata rahi hai

kubra ki zindagi mein kuch bhi nahi bacha hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


kubra dulhan bani thi ab ho chuki hai bewa

ghoongat ke badle rukh par ashkon ki ek rida hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


ya rab mujhe uthaale ab jee ke kya karun mai

ek ghamzada dulhan ke honton pe ye dua hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


jab tak hai zindagani guzregi aansuon mein

dil ki zameen pe aisa zakhmon ka ghar basa hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


dard o alam mein aisi doobi hai zindagani

kubra ke haal par ab har koi ro raha hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...


ehsaas ki siyaahi dil ke qalam mein bhar ke

ibne hassan ka nauha maine fida likha hai

kubra ki zindagi ka gulshan ujad chuka hai

sehra mein paara paara...