Kanz e Aza

Shabbir ke Haaton se

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

shabbir ke haaton se jo ghar may bana dulha

wo ghodon ki taapon se pamaal hua dulha


ye maadar e qasim ne sar peet ke farmaya

jaata hai suye maqtal be aab o ghiza dulha

shabbir ke haaton se...


kangna tha na badhdhi thi poshak purani thi

is shaan se maidan may marne ko gaya dulha

shabbir ke haaton se...


chauti thi na chale thay sukh gham ke hawale thay

is tarz ka dunya ne dekha na suna dulha

shabbir ke haaton se...


maqtal may pahunchte hi teeron se hui daawat

shaadi ka har ek tohfa ghar le ke chala dulha

shabbir ke haaton se...


sarwar ne padhe seeghe zainab ne balayein li

jab aqd ki masnad se khush ho ke utha dulha

shabbir ke haaton se...


is shaan ki shaadi to dekhi na suni ab tak

paaya nahi ek khatra be-aab raha dulha

shabbir ke haaton se...


sar jis ka tha naize par aur jism tha reti par

kubra tere qismat ko kya khoob mila dulha

shabbir ke haaton se...


lo khoon ke darya may jaata hai nahane ko

kubra ke muqqadar ka armaan bana dulha

shabbir ke haaton se...


kubra to galay mil kar baji se bahot royi

sughra se watan aa kar khud mil na saka dulha

shabbir ke haaton se...


damaad ko seene se lipta liya sarwar ne

jalti hui reti par jab ran may gira dulha

shabbir ke haaton se...


kubra ko masayib ki zanjeer mili ishrat

khud qaid e musibat se azaad hua dulha

shabbir ke haaton se...