Taapo Se Hua Tukde Jab Tera Badan Qasim (as)
ghurbat Pe Teri Roye Marqad Mein Hassan (as) Qasim (as)
1. Zinda Na Palat Aana Maidaan Se Ay Beta.
ruqsat Ke Waqt Tha Ye Maadar Ka Suqan Qasim (as)
2. Dada Ki Shujaa'at Tum Duniya Ko Dikha Dena.
seh Legi Teri Madar Har Ranjo Mehen Qasim (as)
3. Qasim (as) Jo Chale Ran Ko Rokar Kaha Sarwar (as) Ne.
qaliq Ki Qasam Tu Hai Tasveer E Hassan (as) Qasim (as)
4. Lashe Ke Tere Tukde Chadar Mein Chadar Mein Jama Karke.
haalat Pe Teri Roye Sultane Zaman Qasim (as)
5. Kis Tarha Se Le Jaou'n Qaime Mein Tera Lasha.
kehte The Shahe Waala Ay Tashna Dahan Qasim (as)
6. Farwa (sa) Ne Kaha Rokar Yeh Lasha E Qasim (as) Par.
mehendi Ka Rasam Karne Aayi Hai Behen Qasim (as)
7. Guzre The Chand Lamhe Afsos Hui Bewa.
kya Kehke Tujhe Roye Ghamqwar Dulhan Qasim (as)
8. Kehti Thi Dulhan Rokar Naushah Ke Lashe Par.
uljhi Hai Zara Dekho Kangan Mein Rasan Qasim (as)
9. Beparda Rasan Basta Shabbir (as) Ki Duqtar Hai.
maqtal Ki Zamee'n Par Hai Be Goro Kafan Qasim (as)
10. Taa Hashr Kabhi Mazhar Aabad Na Phir Hoga.
barbaad Hua Aise Zehra (sa) Ka Chaman Qasim (as)
az: Shayer E Ahlebait Janab Mazhar Abidi Sahab