Taskeen e Qalbe Zehra(s.a) Abbas(a.s) Abbas(a.s)
Zainab(s.a) ka tha ye nouha Abbas(a.s) Abbas(a.s)
1. Ummul Banee'n(s.a) ke pyaare, Haider(a.s) ke jigar paare
Aye Noore ain e Zehre(s.a) Abbas(a.s) Abbas(a.s)
2. Katwake Apne Baazu Tum sogaye Naher par
Kya hoega Haram ka Abbas(a.s) Abbas(a.s)
3. Sharminda bhatiji se you'n hogaye ke laasha
Khaime me tak na aayaAbbas(a.s) Abbas(a.s)
4. Tha choor tan e sarwar(a.s) har zaqm dil se har dam
Aati thi ye sada Abbas(a.s) Abbas(a.s)
5. Aada ne cheenli jab Zainab(s.a) ke sar se chaadar
Zainab(s.a) ka tha ye nouha Abbas(a.s) Abbas(a.s)
6. Kyu'n Sarfaraaz mushkil Apne ko hogi haayil
Apna to hai sahaara Abbas(a.s) Abbas(a.s)
Kalaam : Janaab Syed Sarfaraz Ali Razvi Sahab Qibla