al madad ya abbas
tere haathon ka jo mil jaaye sahara abbas
phir jahan mein na rahe koi bhi pyasa abbas
aap ko pyari bhatiji ki qasam hai maula
na lage ab kisi bacchi ko tamacha abbas
tere haathon ka jo...
na juda bhai se phir koi behen ho aise
tum ko hai waasta e akbar o sughra abbas
tere haathon ka jo...
laash bhai ki na bhai ko khuda dikhlaye
phir kisi bhai ke baazu na kate ya abbas
tere haathon ka jo...
tum ko zainab ke hai jalte huwe qaimon ki qasam
sar pe behno ke rahe bhai ka saaya abbas
tere haathon ka jo...
tum se dekha na gaya nok e sina se manzar
balwe mein sar hai khula binte ali ka abbas
tere haathon ka jo...
sab ke parde ke muhafiz ay alamdare haram
berida koi behen yun na ho maula abbas
tere haathon ka jo...
thaam kar aap ka parcham jo duayein maangi
sab ki haajaat ko karwaiye poora abbas
tere haathon ka jo...
hai ye majid ki dua muntazim e karbobala
hum ko mukhtar ke raste pe chalana abbas
tere haathon ka jo...