Kanz e Aza

Tewar Wohi

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

tewar wohi shabab wohi wohi baakpan tamaam

abbas ko milay hai ali ke chalan tamaam


sher e khuda ka sher chala hai suye furaat

haibat ye hai ke kaampta hai ran ka ran tamaam

tewar wohi…


shayad kisi ne tok diya hai dilayr ko

goonja hua hai sher ke naaron se ban tamaam

tewar wohi…


roke na ruk sakega yadullah ka pisar

ay fauje shaam dekhle kaate jatan tamaam

tewar wohi…


bano ke gulbadan ne hasi mein uda diya

bekaar hogaya bine kaahil ka fan tamaam

tewar wohi…


hai karbala pe khatm musibat ki daastan

haaton pe baap ke hua ghuncha dahan tamaam

tewar wohi…


zeene faraz se khaak pe pahunche to kis tarha

teeron mein hai gundha hua sheh ka badan tamaam

tewar wohi…