tha raza ka ye laashe pe nouha, mere baba ko zalim ne maara
uth gaya bekaso ka sahara, mere baba ko zalim ne maara
hai pareshaan roohe payambar, aur najaf me hai ghamgeen hyder
chal basa haaye sadiq ka pyara, mere baba ko zalim ne maara
mout pardes me unko aayi, aagayi hum pe kaisi tabaahi
mere baba se ghar bhi chudaaya, mere baba ko zalim ne maara
umr sab qaid qaane me guzri, jeeteji phir na paai rehaai
zehr zindaan me deke maara. mere baba ko zalim ne maara