Kanz e Aza

tha ye haram me shoro buka wawaila

A noha for Qasim (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

tha ye haram me shoro buka wawaila maara gaya qasim dulha wawaila

bewa hui ek shab ki suhaagan binte imame har do sara wawaila

raas na aayi shadi haaye wawaila ghar ki hui barbaadi haaye wawaila

raat ki dulhan subha ko bewa hogayi haye haye baare quda wawaila


laash pe dulhan ko lao wawaila raqte uroosi badlao wawaila

dulha ki soorat jald dikhado choor hai sab uske aaza wawaila

kaisi rachi shadi ran me wawaila hijr hai dulha dulhan me wawaila

baalou ko bikhro sehre ko todo laake udhado ujli rida wawaila


laash liye jab aaye hussain wawaila zainab se farmaye hussain wawaila

masnad par le jaake litaado choor hai sab iske aaza wawaila