Thame huwe Hassan ko yeh Zainab ne di sada hai hai yeh kya hua, Muh se nikal raha hai jigar wa Mohammeda hai hai yeh kya hua.
Kis tarah ho raha hai badan neelgu'n tamam, kisne kiya yeh kaam, Kis dushmane Khuda ne sam e pur dagha diya, hai hai yeh kya hua.
Bulwaye jald are koi bhai Hussain ko taqeer ab na ho, Bhai pe apne bhai shifa ki padhe'n dua, hai hai yeh kya hua.
Pur hogaya kaleje ke tukdon se jo lagan, ghabrayegi behen, Chillayi Ya Ali chamane Fatima luta hai hai yeh kya hua.
Be jurm jaan Syyeda gosha nasheen ki li, fariyaad ya Ali, Bhai ne mere kisko sataya tha Ya Khuda, hai hai yeh kya hua.
Sunkar Hussain ibne Ali jangaza khabar, aaye barehna sar, Dekha jo haal bhai ka be saaqta kaha, hai hai yeh kya hua.
Yeh Fatima ke laal pe kaisa hua sitam, kyukar kahe na hum, Lanat Khuda ki uspe jo bayes ho qatl ka, hai hai yeh kya hua...