Kanz e Aza

Thay Bain Sakina ke

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

thay bain sakina ke mai mar jaungi baba

mai aap ki furqat mein na jee paungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado


jeene nahi dega mujhe zindan ka andhera

le jaaiye jald aa ke yahan se mujhe warna

ghur ghut ke mai zindan mein mar jaungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...


umeed rehaai ki dilaata nahi mujhko

mai poochti hoo koi batata nahi mujhko

kab laut ke mai apne watan jaungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...


na paas phupi hongi mere aap na bhaiya

kehte hai adoo qaid karenge mujhe tanha

tanhaai mein mai aur bhi ghabraungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...


bejurm mujhe shime ne maare hai tamache

dikhlaungi jo neel hai ruqsaar pe mere

mai jab bhi kabhi aap ke paas aaungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...


aajaiye sunkar meri faryaad khudara

ek baar lita lijiye seene pe dubara

phir soungi aisi ke na uth paungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...


furqat meri is waqt rulaati nahi lekin

is waqt meri yaadein sataati nahi lekin

mar jaungi to aap ko yaad aaungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...


gohar meri shehzadi ko ek pal na mila chain

jis waqt qaza aayi labon par thay yehi bain

ghar jaungi mai apne watan jaungi baba

baba baba zindan ka dar khulwado

thay bain sakina ke...