Thi Baali Sakina Ki Fugaa Baadile Muztar Baba Ho
kaha Par
kia Haal Huwa Mera Yaha Dekho To Aakar Baba Ho
kaha Par
01. Har Gaam Pe Dekho Hai Qayamat Ki Musibat
durro Ki Aziyyat
zanjeer Me Jakda Hua Hai Mera Baradar Baba Ho
kaha Par
02. Ammu Bhi Gaye Paani Ko Laute Nahi Ab Tak
pyasi Rahu Kab Tak
dikhlaake Mujhe Paani Bahata Hai Sitagar Baba Ho
kaha Par
03. Mai Aapki Furqat Me Agar Roi To Baba
di Shimr Ne Eeza
pursa Mujhe Deta Hai Tamache Wo Laga Kar Baba
ho Kaha Par
04. Naize Ki Ani Se Use Zaalim Ne Hai Khaicha
ye Zulm Hai Kaisa
cheene Gaye Bedardi Se In Kaano Se Gauhar Baba Ho
kaha Par
05.zaalim Ne Muqayyad Kiya Zindaan Me Mujhko
kia Zulm Hai Dekho
is Ghor Andhere Me Mera Jeena Hai Dou Bhar Baba
ho Kaha Par
06. Aajaye Baba Mujhe Zaalim Se Bachane
zindaan Se Chudane
yeh Kehte Huwe Margai Shabbir Ki Dukhtar Baba Ho
kaha Par
07.dekho Fasi Kaisi Hai Sakina Ki Ye Ghurbat
zindaan Me Turbat
aayegi Sada Ab Bhi Tumhe Rauze Ke Andar Baba Ho
kaha Par