Nusrat E Mazloom Ko Aajao Khudara
karb Ke Aalam Me Hame Shah Ne Pukara
matame Shabbir Hee Maqsad Hai Hamara
yaa Hussain Ya Hussain
01. Aise Uthe Maatame Sarwar Ki Sadaye
dene Lage Fatima Zahra Bhi Duaye
karbobala Jaaye Ye Aawaz Madina
yaa Hussain Ya Hussain
02. Saare Azadaro Ko Zahra Ki Dua Hai
rutba Ye Ghamkhaaro Ko Khismat Se Mila Hai
rok Nahi Sakta Hame Gham Se Zamana
yaa Hussain Ya Hussain
03. Ghazi Alamdar Ki Hamsabko Qasam Hai
parcham E Abbas Ki Hamsabko Qasam Hai
haath Kate Maatam E Sarwar Ye Ruke Na
yaa Hussain Ya Hussain
04. Baba Rachai Gai Kya Bhai Ki Shaadi
kaise Bhala Aapko Mai Yaad Na Aai
door Madine Me Hai Beemar Ye Sughra
yaa Hussain Ya Hussain
05. Karbobala Me Jo Azaadar Ye Hote
laash Pe Asghar Ki Kabhi Rone Nahi Dete
dete Har Ek Gaam Pe Maula Ko Dilasa
yaa Hussain Ya Hussain
06. Gham Me Tere Fatima Sar Peet Rahi Hai
pyaase Gale Per Tere Shamsheer Chali Hai
qatl Hua Pyaas Me Ek Boond Na Paaya
yaa Hussain Ya Hussain
07. Baad E Pidar Khaak Hua Beti Ka Jeena
neend Mujhe Aati Nahi Baap Ka Seena
roti Rahi Kehti Rahi Baali Sakina
yaa Hussain Ya Hussain
08. Rote Rahe Shaah Pe Rote Hee Rahenge
maut Bhi Aajaye To Maatam Ye Karenge
nusrat E Mazloom Hai Dawar Ye Ruke Na