Kanz e Aza

Bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), recited by Anjuman e Aon o Mohd. Lyrics in Roman Urdu.

Behen Se Ye Ro Ro Ke Kehte The Sarwar…(x2)


Bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


1-behen Meri Haalat Bataaun Mai Kaise

mere Toote Dil Ko Manaaun Mai Kaise

lipat Ti Hai Seene Se Jab Bhi Sakina


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


2-shabaahat Hai Sughra Me Maa Fatima Ki

nahi Saath Mere Watan Me Hai Wo Bhi

nigaaho Se Uthta Nahi Uska Chehra


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


3-judaai Ka Gham Bhi Bada Dilhazeen Hai

hai Kubra Ki Shaadi Pa Sughra Nahi Hai

sajaaungi Mehendi Tha Armaan Uska


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


4-mulakaat Akbar Ki Thi Jab Ajal Se

jigar Khoon Me Tar Tha Barchi Ke Phal Se

wo Khoon Behta Seena Sada De Raha Tha


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


5-chida Ran Me Asghar Ka Pyasa Gala Jab

lahu Leke Chehre Pe Shah Ne Mala Tab

madine Ka Rukh Karke Bole Ye Maula


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


6-tha Laaya Jise Kund Karke Sitamgar

chala Shah Ke Sookhe Gale Par Wo Khanjar

tadap Kar Ye Kehne Lage Shaahewala


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


7-nahi Chain Mujhko Hai Ab Waqt E Rehlat

dikhado Mujhe Uski Ek Bar Surat

kaha Roke Akbar Ne Aye Mere Baba


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


8-hai Farte Azaa Me Wo Masoom Meri

mera Dil Ye Sunta Hai Har Aah Uski

rulata Hai Mujhko Tadapna Ye Uska


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


9- Behen Betiya Hai Janaze Ki Zeenat

nahi Saath Sughra Hai Kaisi Qayamat

zameen Se Uthne Ko Hai Mera Saaya


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra


10-shahedeen Pe Thi Karabala Me Qayamat aur Us Par Thi Beemar Beti Ki Furqat

fasi Ab Ye Sunte Hee Purdard Roya


bohot Yaad Aati Hai Beemar Sughra