Karti Hai Zainab Karbobala Me Chehlum Apne Bhai Ka
maajaye Ki Turbat Par Ye Nauha Hai Majayi Ka
haye Hussaina Haye Hussain
01. Utho Zainab Aai Hai
ujda Kunba Laai Hai
haal Suno Maajayi Ka
haye Hussaina Haye Hussain
02. Sunlo Bhaiya Mere Bayn
dil Ko Nahi Hai Mere Chain
nauha Hai Dukhpaayi Ka
haye Hussaina Haye Hussain
03. Shaam Ke Zindaan Se Chutke
poora Kiya Hai Zainab Ne
maqsad Apne Bhai Ka
haye Hussaina Haye Hussain
04. Sar Se Chini Mere Chaadar
neel Hai Mere Baazu Par
gham Hai Mujhe Ruswaai Ka
haye Hussaina Haye Hussain
05. Baali Sakina Ro Ro Kar
margai Zindaan Me Aakar
pursa Lo Shahdaai Ka
haye Hussaina Haye Hussain
06. Maa Ki Lahad Par Jaana Hai
saath Mujhe Lejaana Hai
khoon Bhara Kurta Bhai Ka
haye Hussaina Haye Hussain