chehlum karo momino karbal ke mehman ka
matam karo momino shaah e shaheedan ka
jis ko layeeno ne pani ko tarsaya
chehlum karo momino karbal ke mehman ka
zindan se chut kar behan aati hai karbobala
qabr e sakina se wo kis tarha hogi juda
zehra ke kunbe mein shor e qayamat bapa
hilti hai qabre nabi rote hai sher e khuda
chehlum karo momino...
turbat se ghazi ki guzri jo dukh paayi
darya pe ay momino ek laash tharrayi
zainab ne ro kar kaha utho mere bhai
ab to tumhari behan zindan se ho aayi
chehlum karo momino...
asghar ki maa dekho ghut ghut ke roti hai
waaris hai maqtal mein mitti mein moti hai
kulsoom ashkon ki ladiyan piroti hai
bali sakina bhi zindan mein soti hai
chehlum karo momino...
ye us ka chehlum hai jo ab tak hai jo bekafan
ghodon ki taapon se pamaal hai khasta tan
jaan e payambar hai zehra ka hai gulbadan
us ko kafan kaise de khud berida hai behan
chehlum karo momino...
peeto ab ahle aza arsa hai mehshar ka
abid ko pursa do unke bhare ghar ka
gham se bura haal hai kulsoom muztar ka
taboot uth'ta hai zehra ke dilbar ka
chehlum karo momino...
ghar mein qayamat hai aale payambar ke
nauhe sunaana hai ujde huwe ghar ke
dekho zara hausle sajjad muztar ke
maula ne dafnaye laashe bahattar ke
chehlum karo momino...
toofan e gham uthay nasir ke nauhe se
batlao karbal mein chehlum hua kaise
sheh ke azadaron matam karo aise
bete ki mayyat par roti ho maa jaise
chehlum karo momino...