Kanz e Aza

Chehlum Manane Bhai

A noha for Arbayeen. Lyrics in Roman Urdu.

chehlum manane bhai zainab tumhari aayi

phir zulm ke shehr may deti hui duhaayi


bhai wo mera akbar taskeen e jaane maadar

jangal may so raha hai barchi jigar pe kha kar

tasveer mustufa ki ummat ne hai mitayi

chehlum manane bhai...


abbas uth ke dekho baazu pe kya nashan hai

deti rahi sadayein bhai mera kahan hai

rassi se jab sitamgar baandhe meri kalayi

chehlum manane bhai...


ab aun na mohamed kaisi ye bebasi hai

koi nahi hai mera ab kya ye zindagi hai

sab yaad aa rahe hai veerani si hai chaayi

chehlum manane bhai...


sab qatl ho gaye jab abid pe zulm dhaaye

sar se ridayein cheeni qaime sabhi jalaye

jab zulm ke shehr may shaam e ghariban aayi

chehlum manane bhai...


bhai mai shaam ke bhi bazaar may phiri hoo

bhai mai sar barehna darbar may gayi hoo

ahmed ki mai nawasi mai dar badar phirayi

chehlum manane bhai...