chin gayi chadar meri aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
kehti thi binte ali aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
shaam e ghariban mein jafa hogayi ghazi
roti rahi hyder e kararar ki beti
ahle jafa qaime jalaate rahe ghazi
aake na ghurbat mein kisi be bhi madad ki
badti rahi bekasi aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
gham ki ghadi kaisi ye kismat ne dikhayi
dasht mein deti thi behan gham se duhayi
ghurbat e shabbir pr roti thi khudayi
laash zayeefi me jab akbar ki uthayi
gir pade sibte nabi aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
aale payambar ki buka goonji faza mein
shor khushi ka tha bahot ahle jafa mein
aur izaafa hua zehra ki aza mein
sookha gala sheh ka kata karbobala mein
chalti rahi jab churi aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
hum se chudaya gaya afsos watan bhi
aise luta fatema zehra ka chaman bhi
laasha e sarwar raha be-gor o kafan bhi
baandhi gayi haathon mein khwahar ke rasan bhi
hum ko aseeri mili aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
har ghadi pardes mein badte rahe sadme
khaaya na thoda bhi taras ahle sitam ne
lagte rahe bali sakina ko tamache
neela hua chehra anghoti ke nishan se
zulm ki had hogayi aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
zulm o sitam yun bada tapte huwe ban mein
koi madadgaar nahi ranj o mehan mein
rukti hai saansein hai izaafa hai ghutan mein
baandhe gaye baara gale ek rasan mein
roti thi aale nabi aap the bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
zulm o sitam dha ke sataya gaya mujhko
aalam e ghurbat me rulaya gaya mukhko
kufe ki galiyon mein phiraya gaya mujhko
jab sare darbar bulaya gaya mujhko
mere liye maut thi aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...
mir hilaal aale payambar mein tha mehshar
chalta tha har dil pe gham o ranj ka khanjar
dekh ke abbas e dilawar ka kata sar
peet ke sar kehti thi jab dukhtare hyder
lut gayi dunya meri aap thay bhaiya kahan
ay mere bhai ay mere bhai
chin gayi chadar meri...