ay mere pyaron ay mere beton
ay mere bachon
dasht mein boli zainab ye rokar
yaad aaoge aun o mohamed
zinda jab tak rahegi ye maadar
yaad aaoge aun o mohamed
laut kar jab watan jaaungi mai
aur veeran ghar paaungi mai
nanhe nanhe jo dekhungi bistar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
gham mein tanha mujhe kar gaye ho
saamne maa ke tum mar gaye ho
ye hua hai sitam kaisa hum par
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
eid jab jab bhi aayegi bachon
khoon maa ko rulayegi bachon
dil pe chal jayega mere khanjar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
chote hote musalle tumhare
ghar ke hujre mein khaali jo honge
aankhein ashkon se ho jayengi tar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
khooon mein doobe tumhare amaame
saamne aayenge jab bhi mere
khaaungi ghash bapa hoga mehshar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
har qadam jaan khoti rahungi
umr bhar sirf roti rahungi
dil mein dono ka gham hai barabar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
khoon mein doobe tumhare janaze
meri nazron mein aa kar rahegne
kis tarha bhoolun gham ka wo manzar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
dasht e ghurbat mein tashna dahan thay
mamu ki tarha tum bekafan thay
qabr tak tum ko royegi maadar
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...
kya hilaal ab likhe gham ka manzar
sajid aale nabi mein tha mehshar
bain karti thi ye binte hyder
yaad aaoge aun o mohamed
dasht mein boli...