Zainab ke laal dono maqtal ko jaa rahe hai
Shabbir sar jhukaae aansu baha rahe hai
Jaafar ke hai ye pote hyder ke hai nawaase
Qaibar kushaiyo’n ye jauhar dikha rahe hai
Lashkar me shor utha, Sambhlo utho wo dekho
Biphre hue idhar ab do sher aa rahe hai
Ye pyaas teen din ki, aur kamsini ka aalam
Jur’rat to dekho inki Lashkar pa chaa rahe hai
Kya kehna unke dil ka, kya kehna walwalo ka
Gul se badan hai zaqmi aur muskura rahe hai
Zainab ye keh rahi hai qaamosh kyu ho bacho
Zahra bula rahi hai hyder bula rahe hai
Aayi sadaae Zahra, shabbir mere bache
Ghodo se gir rahe hai talwaar kha rahe hai
Zainab se boli fizza, qaime me jaao bibi
Hatho pa shaahe dee’n ab lasho ko laa rahe hai