Kanz e Aza

Aap ki Qasam

A noha for Aon o Mohd (a.s), written by Shams Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

sar ko jhukaye kehte hai zainab ke ye pisar

aap ki qasam amma aap ki qasam


sharminda hone denge na hum tumko umr bhar

aap ki qasam amma aap ki qasam


ay aun o mohamed ay aun o mohamed

ay aun o mohamed ay aun o mohamed

aap ki qasam amma aap ki qasam


pehle tumhare laadle maqtal ko jayenge

nusrat mein shaahe deen ki hum sar katayenge

hum dono ke bhi dasht mein paogi tum ye sar

aap ki qasam...


amma hum apne mamu pe qurban jayenge

waada hai jo kaha hai wo kar ke dikhayenge

haathon ko rakh ke haathon pe kehte thay ye pisar

aap ki qasam...


khyber ki yaad phir se dilaaun layeeno ko

nana ki shaane jang dikhaun layeeno ko

bhaagenge aada dasht se phir peet phayr kar

aap ki qasam...


rakhenge tere sheer ki izzat abhi yahan

pehnenge dono taaj e shahadat abhi yahan

apne lahoo mein dono nahayenge tar ba tar

aap ki qasam...


dam kar de padh ke naade ali ruqsati ke waqt

jaane lage qaza ke liye zindagi ke waqt

waada kiya jo maa se to aaya ye honton par

aap ki qasam...


kausar ke jaam nana pilayenge khuld mein

seene se hum ko dada lagayenge khuld mein

lenge hum unse daade shuja'at bhi arsh par

aap ki qasam...


amma dua karo ke pisar kaamiyab ho

karbobala mein noore nazar kaamiyab ho

jhukne na denge tera kabhi sharm se ye sar

aap ki qasam...


dushman ke sar kaat ke lao to khush hoo mai

karbobala mein taygh chalao to khush hoo mai

taaqeed maa ne ki thi to nikle ye bol kar

aap ki qasam...


aamir o shams dekho ye tareekh ne likha

maa ki lehad pe jaake ye zainab ne phir kaha

apne jigar ke tukdon ko royi na umr bhar

aap ki qasam...