Kanz e Aza

Bohat Yaad Aaye

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shams Rizvi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

jab utri saron se bhaiya ridayein

tum yaad aaye bohat yaad aaye


kaha so rahe ho behan ko bhulaye

tum yaad aaye bohat yaad aaye


khule sar sar e bazm mujhko bulaya

aziyat se durron ki mujhko rulaya

doon awaaz kis ko kise doon sadayein

tum yaad aaye...


tha dushwaar chalna magar mai chali thi

mere haal par bekasi ro rahi thi

qadam dar qadam toot'ti thi jafayein

tum yaad aaye...


sitamgar ne jab hum ko durron se maara

khuda ke liye seh liya dard saara

magar jab saron se utri ridayein

tum yaad aaye...


manadi sada de raha tha barabar

ye baaghi hai baaghi karo zulm in par

jahan tak ho mumkin inhe hum satayein

tum yaad aaye...


kharashein kharashein yateema ke tan par

lahoo jam raha hai jale pairahan par

ye kehti thi dukhiya chacha ko bulayein

tum yaad aaye...


kise kya kahun mai naseebon ki maari

sitam hum pe karte hai sab kaari kaari

jo aale payambar pe tooti jafayein

tum yaad aaye...


kiye maine faaqe isi khastatan par

ye roodad e gham likh rahi hai rasan par

mukhalif bhi apni hui hai hawayein

tum yaad aaye...


ay aamir wo laashe jari par gayi thi

faqat shams ro ro ke ye keh rahi thi

jo guzri hai hum pe wo kya kya batayein

tum yaad aaye...