mazaar e fatema zahra se ye sada aayi
mere hussain fi amanillah
sada ye sun ke ajab ranj ki ghata chaayi
mere hussain fi amanillah
mere hussain safar mein na hoge tum tanha
tumhare saath rahegi tumhari maa zahra
na chain payegi ek pal kabhi ye dukh paayi
mere hussain fi amanillah...
tumhare saath rahungi tumhe sukoon mile
hamesha aalam e ghurbat mein tumko chain rahe
mai dekh sakti nahi hoo tumhari tanhaai
mere hussain fi amanillah...
diya jalaya kabhi aur kabhi padha quran
tumhare rehne se marqad nahi raha veeran
bahot purani hai gham se meri shanasaayi
mere hussain fi amanillah...
meri duayein tere saath hai hussain hussain
dil e ghareeb ke jazbaat hai hussain hussain
hamari aankhon ki ay laal tum ho beenayi
mere hussain fi amanillah...
madina dikhne laga ab to soona soona sa
har ek gali mein nazar aa raha hai sannata
kali har ek nabi ke chaman ki murjhayi
mere hussain fi amanillah...
tumhare karbobala saath jaayegi zainab
tumhara saath hamesha nibhayegi zainab
tumhare saath rahegi tumhari maa jaayi
mere hussain fi amanillah...
tumhi batao tumhe kis tarah karun ruqsat
ke izn deti nahi hai mujhe meri chaahat
hai mere qalb ki thandak tu meri parchayi
mere hussain fi amanillah...
lipat ke rone lage qabre fatema se hussain
bapa fizaon mein hone laga hai naala o shain
falak larazne laga aur zameen tharrayi
mere hussain fi amanillah...
ye boli ro ke hazeen ay shams aur aamir
udaas hoga madina ay shams aur aamir
magar mai karti rahungi teri pazeerayi
mere hussain fi amanillah...