Kanz e Aza

Sughra Hafiz Khuda

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Danish Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

jaane laga madine se jab sheh ka khaafila

sughra ke paas aa ke ye maula ne tab kaha

ay meri laadli tera haafiz hai ab khuda

sar ko katane jaata hoo mai suye nainawa


hum jaa rahe hai sughra hafiz khuda tumhara

rakhna khayal apna haafiz khuda tumhara


ro kar hussain bole jab yaad aaye meri

marqad pe nana jaan ke jaana tu meri beti

tujhko sukoon milega haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


karbal ki sar zameen pe mera gala katega

tere padar ko koi haye kafan na dega

ye zulm mujhpe hoga haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


tujhko sunaun sughra karbal ki mai kahani

aale nabi pe hoga maqtal mein band pani

pyaasa rahega kunba haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


hasrat har ek dil ki bas aaj hi manalun

akbar ko apne dulha beta abhi banalun

bhaiya na phir milega haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


waapas kabhi na haye aayega tera akbar

gardan pe teer khaa kar pyaasa marega asghar

naize pe sar rahega haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


tere chacha ke ran mein kat jayenge jo shaane

bache sabhi haram ke haye rahenge pyase

ye bhi sitam hai hona haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


chin jaayegi ridayein qaidi banegi itrat

haalat pe bekason ki royegi haye ghurbat

phekega koi sadqa haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...


rehan kya padhun mai ek baap ki wo ruqsat

kaise likhega danish dono ke dil ki haalat

rote thay keh ke maula haafiz khuda tumhara

hum jaa rahe hai sughra...