Kanz e Aza

Waada Nibha Rahe

A noha for Safar e Imam Hussain, written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jo tha khuda se wo waada nibha rahe hai hussain

khud apne qadmon se maqtal ko jaa rahe hai hussain


jab apne nana ki turbat ko alwida kaha

to aa rahi thi baqaiya se fatema ki sada

utho lehad se ay baba wo jaa rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


khuda ki raah may sughra ko tanha chod diya

wo laakh kehti rahi mujhko le chalo baba

lipat ke beti se aansu baha rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


qayamat aa gayi jab aayi shaam e ashoora

sagheer bachon may jab al atash ka shor badha

galay laga ke unhe rote jaa rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


tuloo hogayi karbal may subhe qatl e hussain

utha raha tha har ek laash khud butool ka chain

khud apne haathon se maqtal saja rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


shaheed jab hua ghazi hussain toot gaye

to laasha chod ke darya pe suye qaima chale

alam ke saath do baazu bhi laa rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


phir ek zulm pe arsh e azeem kaamp gaya

pidar ki gohd may baysheer ko jo teer laga

wo dekho choti si turbat bana rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


haram may hashr tha jab waqt e asr aa pahuncha

sakina dhoond rahi thi kidhar gaye baba

khuda ke sajde may gardan kata rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...


tha nauha majid o mukhtar ran may zainab ka

pada hai dhoop may laasha tumhara ay bhaiya

haram tumhare suye shaam jaa rahe hai hussain

jo tha khuda se wo waada...