ya hussain ibne ali ya ali ibne hussain
hai inhi ka to lahoo deen ki buniyadon mein
ya hussain ibne ali…
sulhe shabbar se mili thi shahe deen ko mohlat
kuch dino baad phir utha jo sawale bayyat
dil ne samjhaya ke bas aagaya waqt e hijrat
khaafila leke chale suye haram jo hazrat
zalzale aane lage jabr ke aywano mein
ya hussain ibne ali…
aise halaat bigaade gaye phir kaabe ke
haram e paak mein bhi shaah na rehne paaye
haj ko umre se badal kar shahe laulaak chale
aur phir ghayr ke maqtal ki taraf laaye gaye
kuch taras kuch nahi tauheed ke rakhwalon mein
ya hussain ibne ali…
nainawa par jo ruka ashqe shahe jinn o bashar
sheh ne logon se khareedi wo zameene mehshar
kufa-o-shaam se aate rahe payham lashkar
subhe ashoor ko phir goonji azane akbar
hurrate roz chala roshni bardaron mein
ya hussain ibne ali…
kaunsa dukh hai wo dukh shahe deen ne na saha
jung karte hue ghazi ko bahot yaad kiya
shahe mazloom pe har tarha ka hathyar chala
khanjar-o-taygh-o-tabar pathar-o-barchi bhaala
jism teero pe raha khoon ki bocharon mein
ya hussain ibne ali…
aandhiyan chalne lagi asr ka aaya hungaam
parda e qaima utha uthgaya bemaar imam
hujjate haq ne kiya farqe bureeda ko sal am
hashr tak phailgayi shaam e ghariban teri shaam
juz ali kaun hai itrat ke nigehwaron mein
ya hussain ibne ali…
khaafla leke chala dashte bala se bemaar
jarase kaarwan zanjeere garan ki jhankaar
garm reti pa sulagte hue chaalon ki bahaar
sar khule bibiyan aur sar pe wo sehra ka ghubaar
kayi atfaal giray oonth se maidano mein
ya hussain ibne ali…
qaid khane mein sakina ki jo tadfeen hui
haram e shaah ke azaadi ki bunyad rakhi
ghar mein qaatil ke aza e shahe dilgeer rakhi
karbala kya hai ye pehchan to zainab ne bhi di
phir qadam rakh diya sajjad ne toofano mein
ya hussain ibne ali…
arbaeen marqad e sarwar pe kiya abid ne
gham ki rodaad ko nana se kaha abid ne
baad e ashoor bhi har zulm saha abid ne
phir bhi paaya hai laqab zainul-liban abid ne
sabhi shahid hai ke maula hai azadaron mein
ya hussain ibne ali…