yasrab ke musafir se khareeb maut ka ban hai
humraah e qaza sayyade aawara watan hai
manzil se hai nazdeek mohamed ka nawasa
ab khatm safar ho chuka shaahe shohada ka
reh reh ke dehel jaaata hai zainab ka kaleja
moo dekh ke bhai ka pareshan behan hai
yasrab ke musafir se...
karta hai koi raaton ko jangal may ye naale
qurban ho maa tujh pa mere naazon ke paale
bache tujhe karti hoo mai khaaliq ke hawale
darr tha mujhe lutne ka jahan ye wohi ban hai
yasrab ke musafir se...
is dasht may payega tu har tarha ki eeza
is dasht may dushman teri ho jayegi dunya
laayi hai tujhe maut yahan khaynch ke beta
shabbir ye tera hi bas ab tera watan hai
yasrab ke musafir se...
pyasa tujhe jab zibha kare ye sitam aara
laashe ka bhi hoga na koi gaadne waala
beta teri mazloomi ke qurban ye dukhiiya
ne ghusl qismat may teri aur na kafan hai
yasrab ke musafir se...
lut jayega pyasa tera ye chota sa lashkar
ek boond bhi pani ki na dega koi khudsar
chillayega bayseer ko tu haathon pa le kar
logon mera masoom bahot tashna dahan hai
yasrab ke musafir se...