Kanz e Aza

yasrab me uth raha hai janaza batool ka

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

yasrab me uth raha hai janaza batool ka

tasweere gham bana hai janaza batool ka

taboot par pade na kisi ghair ki nazar

yu raat ko utha hai janaza batool ka


jo roohe mustafa thi wo dunya se chal basi

taboote mustafa hai janaza batool ka

mayyat nabi ki uth ke pachattar hi din hue

lo aaj uth raha hai janaza batool ka


bete bhi dono rote hue saath saath hai

ghar se nikal raha hai janaza batool ka

afsos aaj ho gaya veeraa'n ali ka ghar

sar peet'ta hai rota hai kunba batool ka


pehlu shikasta daaghe pidar se jigar kabaab

baade nabi ye haal hua tha batool ka