Kanz e Aza

Ye Aakhri Shab Hai

A noha written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ay shere khuda hyder e karrar duhaai

ye aakhri shab hai ye aakhri shab hai


kal subha ko lut jayegi zehra ki kamayi

ye aakhri shab hai ye aakhri shab hai


bacchon se kaho qaime mein wo chain se soye

darr darr ke na roye

zinda hai abhi zainab o kulsoom ka bhai

ye aakhri shab hai...


mil jayega asghar ko sukoon ran ki hawa se

ek teer e qaza se

ho jayegi baysheer ki kal doodh badhayi

ye aakhri shab hai...


laila se kaho dekhle wo chehra e akbar

bas aaj ki shab bhar

ho jayegi hamshakle payambar se judaai

ye aakhri shab hai...


maa shamma liye baithi hai qasim ke sarhane

mamta ke bahane

ho jayega kal khoon ye kangna ye kalayi

ye aakhri shab hai...


zainab se kaha bacchon ne hum aisa ladenge

peeche na hatenge

yaad aayegi phir hamza o jafar ki ladayi

ye aakhri shab hai...


saqqa e haram ghaat pe so jayega jaa kar

shaano ko kata kar

abbas ko mil jayegi darya ki tarayi

ye aakhri shab hai...


baba mujhe ek baar kaleje se lagalo

seene pe sulalo

shabbir se kehti hai ye shabbir ki jaayi

ye aakhri shab hai...


ho jayega zanjeer e sitam mein wo giraftaar

hai ghash jo bemaar

jal jayegi kal sholon mein abid ki chatayi

ye aakhri shab hai...


kal khoon mein naha jayega shabbir ka lashkar

ay aamir o nayyar

ab hashr talak royegi pyason ko khudayi

ye aakhri shab hai...