Kanz e Aza

Ye Alam Abbas ka

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zaheer Jaffery. Lyrics in Roman Urdu.

ye alam abbas ka hai ye alam abbas ka


ye alam ahle wafa ki aabru hai jaan hai

ye alam mazloomi e shabbir ki pehchaan hai

ye alam abbas hai islam hai quran hai

ye alam abbas ka hai...


is alam ke saaye ne islam ko di hai amaan

ye alam kehta rahega tashnagi ki daastan

ye alam hai hazrate abbas e ghazi ka nashan

ye alam abbas ka hai...


ye alam deta hai dhaaras lashkare islam ko

ye alam zinda rakhega karbala ke naam ko

ye alam dega sukoon in gardishe ayyaam ko

ye alam abbas ka hai...


ye alam aale nabi ke pyaas ki tasveer hai

ye alam par bekasi ki daastan tehreer hai

ye alam armaan e qalb e zainab e dilgeer hai

ye alam abbas ka hai...


ye alam ek bekas o mazloom ki awaaz hai

ye alam mein deen e haq ki azmaton ka raaz hai

ye alam ek bawafa jarraar ka ejaaz hai

ye alam abbas ka hai...


ahle emaaan ahle irfan ki zaroorat hai alam

har jari har mard e maidan ki zaroorat hai alam

ye alam to shaahe zeeshan ki zaroorat hai alam

ye alam abbas ka hai...


ay zaheer e ghamnawa nauha likho abbas ka

ek sakina ke liye aur shaahe deen ki pyaas ka

jayeza tum le sake na ek haram ki aas ka

ye alam abbas ka hai...