Kanz e Aza

Dunya se Ab Safar Hai

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Zaheer Jaffery. Lyrics in Roman Urdu.

dunya se ab safar hai bemaar e karbala ka

badla hua hai aalam gulzaar e karbala ka


yasrab ki zindagi bhi zindan se kam nahi thi

mabood aansuon se kab chashme nam nahi thi

kab aap ke labon par rudaad e gham nahi thi

dunya se ab safar hai...


nazron mein phir raha tha guzra hua zamana

haye wo jism e laaghar haye wo taaziyana

haye wo zulm e aada haye wo qaid khana

dunya se ab safar hai...


pesh e nigaah e abid bedaad ashqiyan thi

shaam o sehar zaban par rudaad e karbala thi

magmoom zindagi thi aur yaad e kibriya tha

dunya se ab safar hai...


chalees saal apne baba ka gham mana kar

khud apne aansuon ke shamme jala jala kar

ab mutmain chale hai gham se najaat paa kar

dunya se ab safar hai...


baade hussain kya kya sadme utha ke aaye

zindan mein behan ki turbat bana ke aaye

karbobala my apna sab kuch luta ke aaye

dunya se ab safar hai...


yaad aa rahi thi aksa, zainab ki be-ridayi

nazron mein phir raha tha kadiyal jawan bhai

tadpa rahi thi dil ko baysheer ki judaai

dunya se ab safar hai...


nazron mein phir raha tha ashoor ka wo manzar

aalam wo bekasi ka jalta hua wo bistar

haye wo rayghe sehra haye wo laashe sarwar

dunya se ab safar hai...


laashe pe aayenge jab bekas imam e baqir

dekhenge jis ghadi wo baba ka jism laaghar

kis dil se ay zaheer ab kaise bayan ho manzar

dunya se ab safar hai...