bemaar natawan hai sajjad ko na maaro
roti rahi zainab kehti rahi zainab
durre abid ko mere na lagaye koi
mere bemaar ko qaidi na banaye koi
aabile paaon mein hai khaar bhara rasta hai
haye sajjad ke pairon se lahoo rista hai
kya khata hai iski boliye binte ali
kyun jafa hum pe hui kehke zainab royi
kya khata aale nabi ki hai bataye koi
durre abid ko mere...
shimr ne itne sakina ko tamache maare
gaal us phool si bacchi ke hai zakhmi saare
uske gauhar bhi chine khoon kaano se bahe
kaise ye zulm sahe kis se faryaad kare
shimr se bali sakina ko bachaye koi
durre abid ko mere...
bekhata qatl hua haye mera maajaya
zaalimon ne usay ek boond bhi pani na diya
itna sookha tha gala jispe khanjar na chala
ek qayamat thi bapa kaamp uthi arze bala
sar e shabbir na naize pe chadhaye koi
durre abid ko mere...
shaam se saani e zehra ki sada aati hai
bhai bazaar mein zainab ko haya aati hai
utho abbas kahan suno zainab ki fughan
bhai do aake amaan mera dushman hai jahan
kehdo behna ko teri ab na sataye koi
durre abid ko mere...
chadar e ahle haram looti sitamgaaron ne
baandhi shaano mein rasan shaam ke khoon kharon ne
sar jhukaye thay haram aankh ashkon se thi nam
har taraf chaaya tha gham kitne majboor thay hum
mai sada deti thi chadar to mangaye koi
durre abid ko mere...
haye zainab bhare darbar mein jaaye kaise
sar pe chadar bhi nahi moo ko chupaye kaise
waqt ye hum pe pada koi yawar na raha
hai sitam hadh se siwa sirf abid hai bacha
aur atfaale nabi ko na sataye koi
durre abid ko mere...
jab bhi abid ki musibat ka khayal aaye raza
shadman gham se kaleja mera phat jayega
nauha har waqt likhun naam e sarwar mein marun
gar lehed mein bhi rahun matam e shaah karun
ay raza nauha e sarwar jo sunaye koi
durre abid ko mere...