dekh kar baba ka laasha ek beta ro diya
reh gaya jis dam akela ek beta ro diya
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
natawan bemaar laaghar aur safar ki sakhtiyan
dekh kar humraah apne sar barehna bibyan
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
pyaas ki shiddat se chehra zard aur pairon mein khaar
har qadam par dekh kar taaza musibat ka dayaar
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
saath mein ahle haram hai aur sab hai nange sar
karbala se shaam tak jayenge kaise soch kar
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
tauq o langar ki garani se thaame huwe
uth raha tha har qadam qalb o jigar thaame huwe
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
jo musibat aayi abid par padhi nade ali
karbala se shaam tak jab bhi koi thokar padi
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
chal rahi thi raah mein seena utha kar mushkilein
jab safar mein pesh aayi har qadam par mushkilein
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
jab sitam ne apna andaaz e sitam badla nahi
raaste bhar bekasi ne saath jab choda nahi
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
shaam ke zindan mein jis dam sakina mar gayi
aur apne bhai ko ek dam akela kar gayi
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...
kar raha hoo mai bayan bemaar ka huzn o malaal
aa rahe hai zehn mein ishrat masyab ke khayaal
gham ki zanjeeron mein jakda ek beta ro diya
dekh kar baba ka laasha...