Kanz e Aza

Jab Sakina ne Rokar

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

jab sakina ne ro ke kaha

ay phupi ab madine chalo


karbala aa ke ghar lut gaya

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo ay phupi


hum idhar apne ghar jayenge

pyaas ke zakhm bhar jayenge

gham ki mil jayegi kuch dawa

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


bhai akbar na qasim rahe

mere ammu na asghar rahe

chin chuka zindagi ka maza

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


goshware bhi cheene gaye

aur tamache bhi maare gaye

seh liya har sitam seh liya

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


deed ke phool khil jayenge

saath ke log mil jayenge

kuch to aaraam mil jayega

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


jaa ke dadi ko dekhenge hum

apni baaji se mil lenge hum

dekhte honge sab raasta

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


har musibat hai seena sipar

lag raha hai aseeri se darr

ho na jaaye kahin be rida

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


ho gaye qaid ahle haram

bad gaye aur dard o alam

khaafila bas ye sunta raha

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


maar daalega dard e jigar

saans ruk jaye kab kya khabar

qaid khana hai ghar maut ka

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


godh jangal se veeran hai

maut ka meri imkaan hai

ro rahi hai meri waalida

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


pyaas ki talqiyan hai bahot

maut ki hichkiyan hai bahot

ab mera dam nikal jayega

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…


ek ye hasrat na poori hui

mar gayi shaah ki laadli

phir na ishrat ye goonji sada

ay phupi ab madine chalo

ab madine chalo…