Kanz e Aza

Maqtal May Goonjti

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ishrat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

maqtal mein goonjti hai sada tashnalab hussain

wo tashnalab sada jo raha tashnalab hussain


maqtal mein goonjti hai sada tashnalab hussain

haye hussain haye hussain haye hussain


har har qadam pa kehta hua ya ali madad

le kar jawaan ki laash chala tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


zehra ne apni godh mein bad kar utha liya

ghode se jab zameen par gira tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


ahle haram pa ek qayamat guzar gayi

maqtal mein jab shaheed hua tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


rota hua sakina ko qaime mein chod kar

khanjar ko de raha hai gala tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


lo karbala mein khaakh ke bistar pa so gaya

aagosh e fatema ka pala tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


shimre layeen kalaje pa rakhe huwe churi

kunbe se ho raha hai juda tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


qasim ka jisne aqd padha tha abhi abhi

ab uski laash le ke utha tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...


ghaafil kabhi raha nahi naam e hussain se

ishrat ne apne dil pa likha tashnalab hussain

maqtal mein goonjti hai...

haye hussain...