Maqtal me sada goonji hai aap kaha'n amma
Bhai tahe qanjar hai jald aao yaha'n amma
Zainab ne kaha rokar , kis kis ko pukaaru'n mai
Maqtal me base jaakar sab peero jawaa'n amma
Jo god ke paale the , maqtal ke hawaale hai
Bin Auno Mohammed ke jaau'n mai kaha'n amma
Akber ke kaleje me barchi ki ani dekhi
ab saamne aankho'n ke marta hai jawaa'n amma
Kaam aa gaye darya par abbas ke baazu bhi
Ek khoon ka darya hai shaano'n se rawaa'n amma
Zaalim na rehem khaaya , bache ke ishaare par
besheer ne hontho'n par pheri thi zabaa'n amma
Mashkeeza me paani ka ek boond na tha baaqi
Honto'n se sakina ke uth'ta tha dhuaa'n amma
Mai dekh rahi hoo'n ab kya aap bhi dekhengi
Shabbir ki gardan par qanjar hai rawaa'n amma
Zanjeero salaasal ka wo bojh sahe kyu'n kar
Beemaar ki gardan me hai touqe giraa'n amma