MAQTAL SE AARAHA HAI KARDYAL JAWAA’N KA LASHA
KHAIMON ME SHAHE DEE’N KE EK HASHR SA HAI BARPA
Aya salam run se jab Akber-e-jawaa’n ka
Ankkhon mein shahe deen ke chane laga andhera
Dushwaar tha pisar ke lashe talak pohuchna
Kehte the phir sada do ek baar mujh ko beta
Pohche Hussain bekas jab lasha-e-pisar par
Dekha Shahe Zaman ne ye dil kharash manzar
Barchi ka phal jigar mein dam tordte hai Akber
Asaa’n na tha nikalna tooti huwi sina ka
Laye Hussain jisdam run se pisar ka lasha
Dil shaq huwa alam se ek gham naseeb maa ka
Soncha tha mera Akber jis din banega dulha
Bandhun gi khud mai apne hathon se rukh pa sehra
Khaimon mein bekason ke girya ki hai sadaye’n
Lashe ke le rahi hai Binte Alibalaye’n
Ye dagh seh sake jo wo dil kahan se laaye’n
Kis kis ko roye akhir Zainab ghareeb dukhya
Kehti thi maa ye ro kar aye mannaton ke pale
Uhde shabaab mein jo dunya se tum sidhare
Kaise jeeye ye madar batlao bin tumhare
Hai khak-o-khoon mein ghalta tera haseen chehra
Khaimon mein lashe Akber aaye Sohail jisdam
Saidaniyon me ghul tha wa Akbera ka paiham
Laila ke lab pa nale Zainab ki ankh pur num
Kya haal ab bayan ho qalbe Shahe Zaman ka