MASOOM SAKINA HAI GHAM-E-BEPIDARI HAI
Kha kha ke tamache jo tadapti hai Sakina
Saidaniyon ke haq mein qayamat ki ghadi hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Ek hashr ka aalam hai ayaa’n arz-o-samaa’n mein
Naalo se sakina ki faza sehmi huwi hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Nadaan ka hai kaun bhala poochne wala
Ek bhai hai beemar charaagh-e-sahari hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Abbas nahi Qasim-o-Akber bhi nahi hai
Ab khalb-e-sakina pa chhuri gham ki chali hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai Kyu ghurkiya deta hai ise zulm ka bani
Aye shimr Sakina meri naazo ki pali hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Abid bhi hai ab tauq-o-salasal mein giraftaar
Afsos ke majboor zamane ka Ali hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Haatho se chhupaya hai Sakina ne jo chehra
Ghurbat mein khadi dekho to darbare shaqi hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Kehde koi maqtal mein ye abbas-e-ali se
Be gusl-o-kafan lash Sakina ki padi hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Pursa jo sakina ko tamacho se mila hai
Zindaa’n mein hai aur us pa ye uftaad nayi hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Zindaan mein bheja jo sar-e-shah jo zalim
Kya khoob tasalli ye sakina ko mili hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai
Qasim kaho kya bali sakina ka hai alam
Hai ranj-o-mehan dard-o-alam darbadari hai
Maqtal mein ye Bano ki fughaa’n gooj rahi hai