MERE HUSSAIN KE ABAAD GHAR KO LOOT LIYA
Pala tha wo meri aaghosh mein muraado se
Badan pe aaj ye unnees-sau (1900) hai zakhm uske
Usi ke halq pe khanjar mai dekhungi kaise
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Wo hum Shabihe payambar jawaa’n Ali Akber
Jo tha Hussain ke dil ka sukoon Noor-e-Nazar
Wo khaake barchhi ka phal kargaya jahan se safar
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Rabab kaise bhulaye wo khoo’n bhara manzar
Tha halq jiska sitamgar ke teerki zadd par
Nisar dono jahaa’n uske khushk honto’n par
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Bala ke dasht mein kaisi ajeeb thi shaadi
Abhi gaya tha abhi laash aayi dulha ki
Rida bhi chhingayi dulhan ki maang bhi ujdi
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Nabi ki aal ke parde ka jo muhafiz tha
Katake baazuo ko sogaya labe dariya
Haram aseer huwe chhingayi saro’n se rida
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Wo run se Aon-o-Mohammed ke aye jab lashe
Tha khak-o-khoon mein ghalta wo laal Zainab ke
Ye dagh dil pe liye maa jeeye to kaise jeeye
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Qadam qadam pa wo sadme uthaya laal mera
Kabhi jawaa’n ka kabhi bezubaa’n ka daagh mila
Kabhi tarayi pe bedast bhai ko dekha
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Wo waqt-e-asr talak lut chuka tha jiska ghar
Nahi tha koi bhi humdum na tha koi yaawar
Har ek simt se teer-o-sina chale uspar
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Zubaa’n pe tha ye Mohammed ka mai nawasa hoon
Aye kalma-goyo tumhara mai kya bigaada hoon
Mai teen roz ka bhooka hoon aur pyaasa hoon
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Sitam ki karbobala mein chali ajab aandhi
Chala jo halq pe khanjar zamee’n larazne lagi
Falak pe karte the hoor-o-malayeka zaari
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada
Sohail karbobala ki ye daastaa’n sunkar
Gham-e-Hussain mein dooba huwa hai har manzar
Lahoo ke aansoo bahate hai sab ke qalb-o-jigar
Fazaye karbobala mein thi Fatima ki sada