PUKARI ZAINAB-E-MUZTAR, MERE HUSSAIN UTHO
DOHAYE DETI HAI KHAWHAR, MERE HUSSAIN UTHO
Nahi hai Qasim-o-Abbas aur Ali Akber
Rabab karti hai girya bichhad gaya Asgher
Ye besahara kare kya bhala watan jakar
Jafaye hoti hai hum par mere Hussain utho
Hai reg-e-garm pa pyaaso ke bekafan laashe
Ye jaa’n nisaar mujahid ye khastatan laashe
Hai run mein Aun-o-Mohammed ke gulbadan laashe
Hai kitne dard ke manzar mere Hussain utho
Na poocho sham-e-ghareebaa’n ki bekasi ka samaa’n
Nabi ki Aal ke khaimo mein uth raha hai dhuwaa’n
Hum aise haal mein jayen agar to jayen kahan
Hai ghash mein Abid-e-Muztar mere Hussain utho
Jalane aaye hain zalim qayam-e-Aale Nabi
Ghazab hai bistar-e-beemar mein bhi aag lagi
Faza mein goonj rahi hai sada-e-tishnalabi
Bapa hai qaimon mein mehshar mere Hussain utho
Hai beqarar bohot apki Sakina jaa’n
Fugha ye karti hai baba mere gaye hai kahaa’n
Nahi hai taab tamacho ki aye phupi amma
Shakhi ne chheene hai gauhar mere Hussain utho
Ye kaisa haye bhara ghar ujad gaya bhaye
Sunaye kisko ye rudaad teri maajaye
Khadam khadam pa rulati rahegi tanhaye
Nahi hai koi bhi sar par mere Hussain utho
Sohail kehti thi rokar ye Zainab-e-Muztar
Watan ko jati hoon bhai mai dasht mein lut-kar
Khuda ko saumpa tumhe aye Nabi ke noore nazar
Hai daagh dil pa Bahattar mere Hussain utho